Urdu Poems

We have latest collection of urdu poems for Adults.

Aa bhii jaao kii zindagii kam hai
aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai

vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii.n
shahar me.n aaj raushanii kam hai

jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chaa.Ndanii kam hai

aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai

tere dam se hii mai.n mukammal huu.N
-----------------------------------------------------------------------------


aa chaa.Ndanii bhii merii tarah jaag rahii hai (Bashir Badar)

aa chaa.Ndanii bhii merii tarah jaag rahii hai
palako.n pe sitaaro.n ko liye raat kha.Dii hai

ye baat ki suurat ke bhale dil ke bure ho.n
allaah kare jhuuTh ho bahuto.n se suunii hai

vo maathe kaa matalaa ho ki ho.nTho.n ke do misare
bachapan kii Gazal hii merii mahabuub rahii hai

Gazalo.n ne vahii.n zulfo.n ke phailaa diye saaye
jin raaho.n pe dekhaa hai bahut dhuup ka.Dii hai

ham dillii bhii ho aaye hai.n laahaur bhii ghume
ai yaar magar terii galii terii galii hai

-----------------------------------------------------------------------------

aa jaaye.n ham nazar jo koii dam bahut hai yaa.N (Meer Taqi Meer)

aa jaaye.n ham nazar jo koii dam bahut hai yaa.N
mohalat basaa.N-e-barq-o-sharaar kam bahut hai yaa.N

yak lahazaa siinaa kobii se furasat hame.n nahii.n
yaani ki dil ke jaane kaa maatam bahut hai yaa.N

ham raharavaa.N-e-raah-e-fanaa der rah chuke
vaqfaa basaa.N-e-sub_h koii dam bahut hai yaa.N

haasil hai kyaa sivaaye tarai ke dahar me.n
uTh aasmaa.N tale se ke shabanam bahut hai yaa.N

is butakade me.n maanii kaa kis se kare.n savaal
aadam nahii.n suurat-e-adam bahur hai yaa.N

ajaaz-e-isavii se nahii.n bahas ishq me.n
terii hii baat jaan-e-mujassim bahut hai yaa.N

mere hilaak karane kaa Gam hai abas tumhe.n
tum shaad zi.ndagaanii karo Gam bahut hai yaa.N

shaayad ke kaam sub_h tak apanaa khi.nche na 'Meer'
ahavaal aaj shaam se daraham bahut hai yaa.N
-----------------------------------------------------------------------------

Aabalaapaa ko_ii is dasht me.n aayaa hogaa
aabalaapaa ko_ii is dasht me.n aayaa hogaa
varnaa aa.Ndhii me.n diyaa kis ne jalaayaa hogaa

zarre zarre pe ja.De ho.nge ku.Nvaare sajde
ek ek but ko Khudaa us ne banaayaa hogaa

pyaas jalate huye kaa.NTo.n kii bujhaa_ii hogii
risate paanii ko haathelii pe sajaayaa hogaa

mil gayaa hogaa agar ko_ii sunaharii patthar
apanaa TuuTaa huaa dil yaad to aayaa hogaa

Khuun ke chhii.nTe kahii.n pochh na le.n rehro.n se
kis ne viiraane ko gul_zaar banaayaa hogaa

bin tere terii 'Yamini' kam hai
-----------------------------------------------------------------------------

Aadamii aadamii ko kyaa degaa (Sudarshan Fakkir)

aadamii aadamii ko kyaa degaa
jo bhii degaa vahii Khudaa degaa

meraa qaatil hii meraa mu.nsib hai
kyaa mere haq me.n faisalaa degaa

zindagii ko qariib se dekho
isakaa cheharaa tumhe.n rulaa degaa

hamase puuchho dostii kaa silaa
dushmano.n kaa bhii dil hilaa degaa

ishq kaa zahar pii liyaa "Faakir"
ab masiihaa bhii kyaa davaa degaa
---------------------------------------------------------------------------------
AaKhirii baat (Amjad Islam Amjad)

tuluu-e-shams-e-mufaaraqat hai
puranii kirane.n naye makaano.n ke aa.Ngano.n me.n laraz rahii hai.n
fasiil-e-shahar-e-vafa ke rozan chamakate zarro.n se bhar ga_ii hai.n
gaye dino.n ke aziz baate.n nigar subahe.n gulab raate.n
bisaat-e-dil bhii ajiib shay hai hazaar jiite.n hazaar maate.n
judaa_iyo.n kii havaaye.n lamho.n kii Khush maTTii u.Daa rahii hai.n
ga_ii ruto.n kaa malaal kab tak
chalo ke shaaKhe.n to TuuTatii hai.n
chalo ke qabro.n pe Khuun rone se
apanii aa.Nkhe.n hii phuuTatii hai.n
ye mo.D vo hai jahaa.N se mere tumhaare raste badal gaye hai.n
puraanii raaho.n ko lauTanaa bhii hamaarii qatadiir me.n nahii.n
ke raaste bhii hamaare qadamo.n ke saath aage nikal gaye hai.n

tuluu-e-shams-e-mufaaraqat hai
tum apanii aa.Nkho.n me.n jhil_milaate huye sitaaro.n ko maut de do
ga_ii ruto.n ke tamaam phuulo.n tamaam Khaaro.n ko maut de do
naye safar ko hayaat baKhsho
ke pichhalii raaho.n pe sabt jitane nuquush-e-paa hai.n
vo baar ho.nge
havaa u/Daaye ke tum u.Daao

No comments:

Post a Comment