HASRATH - Urdu Poetry

"HASRATH"
Dil Tod Ke Tukde Kar Diye Ussne
Pal Bhar Bhi Iss Dil Ko Sambhalne Naa Diya Ussne
Aanaa Hai Uss Me Bohut Yeh Batana Usse
Woh Ab Mile Toh Haal-e-Dil Matt Sunana Usse
Akele Kis Se Utha Hai Taluqaat Ka Bojh
Woh Tumko Naa Yaad Rakhe Bhool Jana Usse
Kabhi Mujhko Sath leke Kabhi Mere Sath Chalke
Woh Badal Gaya Achanak Meri Zindagi Badalke
Hue Jispe Tum Meharban Woh Khushnaseeb Hogi
Meri Hasratein Toh Nikli Meri Aansoun Me Dhalke.

Woh Dil Hi Kya Jo tere Milne Ki Dua Na kare...

Woh dil hi kya jo tere milne
ki dua na kare
Main tujh ko bhool ke zinda
rahoon khuda na kare

Rahe ga pyaar tere saath
zindagi ban kar
yeh aur baat meri
zindagi wafa na kare

Yeh theek hai nahi marta koi
judaii mein
khuda kisi ko kisi se
magar juda na kare

Agar wafa pe bharoosa rahe
na duniya ko
tu koi shakhs muhabbat ke
husla na kare

Suna hai uss ko muhabbat
duaein deti hai
jo dil pe chut khaye
magar gila na kare

Bujha diya hai naseeboon ne
mere pyaar ka chand
koi diya meri palkoon pe
ab jala na kare

Zamana dekh chuka hai
parakh chuka hai usse,
"Qateel" jaan se jaye magar
iltja na kare..!

Main bhuka hoon mohabbat ka Mera kashkol khali hai

Main bhuka hoon mohabbat ka Mera kashkol khali hai
Tumhare husan se kheera mari nazrain sawali hain

Tumhare dar pe beta hoon jahan se hoon main be parwa
Koi thokar khilata hai to koi deta gaali hai

Magar main deet hoon kion keh mujhe tari zaroorat hai
Tere pane ki khaatir nafratain sab jo paali hain

Samaji zulmatoon se chali seenay per hoon main nazan
Fakhar mehsoos karta hoon keh mera eshq misali hai

Suna hai dil se dil ko raah hoti hai mere jaana
Agar sach hai to us rah per pholon ki saig dali hai

Muqayyad tha muqayyad hoon muqayyad hi rahonga main
Qafas dil ka chaman hai aur mera sayyad maali hai

Muttalib-Muqayyad

BARI BETAAB SI GARHI HAI TERE WASAL KI SHAB

BARI BETAAB SI GARHI HAI TERE WASAL KI SHAB

NAIN SE NAIN JO LARHI HAI TERE WASAL KI SHAB



PALKHAIN JAPKANE KI MUHLAT BHI NAHIN DI TUM NE

JAANE KIS TARAH SE GUZRI HAI TERE WASAL KI SHAB

Meri Har Dharkan Mai Tum, Meri Har Saans Mai Tum

Meri Har Dharkan Mai Tum,Meri Har Saans Mai Tum,
Jaana Thumen Kaisy Batayn,Meri Jevan Ki Aass Ho tum, Jub Hota Ho Pass Tw Mil Jata Hai Sukoon,
Door Jub Jatay Ho Tw Kr Jatay Ho Odass Tum,

Meri Zindagi Hai Ik Sabaq Or Iski Kitab Ho Tum,
Dakho Tum Say Kitna Pyar Hai Mujhay,

Meri Rag Rag Mai Behty Khoon Ki Raftar Ho Tum,
Mai Tha Andheron Mai Phansa Howa,

Roshan Roshan kr Dia Mera Aftab Ho Tum,

Mohammad Navaid

Chand Si Larki

Suno ae chaand c larki
Abhi tum keh rahi thi na

Tumhain mujh se muhubbat ho nahi sakti
Chalo mana k yeh such hai

Magar ae chaand c lerki
Mujhe itna batao tum

K jub mosam badalte hain
Gulon main rang bharte hain

To phir kiun muztarib ho kar
Akele pan se ghabra kar

Hawa ko raaz deti ho
Mujhe awaaz deti ho

Suno ae chaand c lerki
Tumhare saamne koi mera jub naam leta hai

To phir kiun chonk jaati ho
Chalo mana tumhain mujhse muhubbat ho nahi sakti

Magar itna samajh lo tum
Jahan chahat nahi hoti

Wahan nafrat k hone ka koi imkan nahi hota
Mera dawa hay chahat main

Jahan nafrat nahi hoti
Wahan aksar ye dekha hai

Agar kuch waqt kut jaye
Samay ki dhool chat jaye

To wehshat bhaag jati hai
Muhubbat jaag jati hay.... !!!!

Udaasioon ka sabab jo likhna

Udaasioon ka sabab jo likhna,
To ye bhi likhna
Kay chand taaray,
Shahaab ankhien badal gaye hain
Wo zinda lamhay jo teri raahon mein
Tere anay kay muntazir thay
Wo thak kay raahon mien dhel gaye hain
Wo teri yaadien, khayal tere,
Wo ranj tere, milaal tere
Wo teri ankhein, sawal tere
Wo tum say mere tamaam
Rishtay bichar gaye hain,
Ujadh gaye hian
Udaasioon ka sabab jo likna
To ye bhi likhna
Leraztay hoonton pe larhkharhti,
Dua kay soraj
Peghal gaye hain
Tamaam sapnay he jal gaye hain
Baad marnay ke tum meri kahani likna
Kese hoi bardaad meri jawani likhna
Ye bhi likhna kay mere hoont hansi ko tarsay kese
Bahta raha meri ankhoon say pani likna...

Urdu Poetry - Noshi Galani

راستوں میں رہے نہ گھر میں رہے
عُمر بھر حالتِ سفر میں رہے

لفظ سارے چراغ بن جائیں
وصف ایسا مرے ہُنر میں آجائے

زہر سارا شجر میں آجائے
اے خُدا زندگی ثمر میں رہے

اس لیے گردشوں کو پالا ہے
کوئی توحلقہ اثر میں رہے

اِک زمانہ گھروں میں تھا آباد
بے گھر ہم تری نظروں میں رہے

Door hai apse to kuch gam nahi

Door hai apse to kuch gam nahi
Door rehke bhulne wale hum nai
Roz mulaqat na ho to kya hua
apki yaad apke mulaqat se kam nahi

Jabse apko jana hai
Jabse apko paya hai
Har dua mein apka naam aya hai
Dil karta hai picho us rab se

Kabhi khatan na ho teri khushion ka khazana
Kabhi bhule na tere hoth muskurana
Tu jahan bhi jaye meri dua sath jaye
Khuda kare tujhe meri umar lag jaye

Apke pyar ne zindgi ko ek maksad diya hai
Har sukh-dukh me mene apka ehsas kiya hai
Jab bhi jhapke palak apki to samaj lena
Apki jaan ne apko yaad kiya hai

Ye yaad hai apki ya yadon mein ap ho?
Ye kwab hai apke ya kwabon mein ap ho?
Hum nahi jante bas itna bata do
Hum jaan hai apki ya jaan hamari ap ho

Rulana har kisi ko ata hai
Hasana kisi kisi ko ata hai
Rula ke jo mana le wo sacha yaar hai
Aur jo rula ke khud bhi ansu bahaye
Woh apka sacha pyar hai

Aaj phir teri yaad aye barish ko dekh kar.
Dil pe zor na rha apni bebasi ko dekh kar.
Roye is qadar teri yaad me.
Ke barish bi thum gayi meri barish dekh kar.

Hume Jeene Nahi Deti Hai Ye Gujari Huyi yaadein
Hame Se Bhooli Nahi Jati Hai Ye Biti Huyi Baatein
Ab Kaise Kahein Hum Tum se Ye Dost Teri Baatein
Hame Har Pal Yaad Dilata Hai Teri Har Chhoti chhoti Baatein.

Kuch Badli Hui Taqdeer Nazar Aati Hai;
Dur Tak Yaaadon Ki Zanjeer Nazar Aati Hai;
Mai Padhu Tho Kya Padhu Dost;
Har Panhe Par Teri Tasveer Nazar Aathi Hai.

Mohabbat main asar hoga to ek din tum ko paalenge
Kisi surat se hum bigrri hui Kismat banalenge
Sitaron main Phoolon main Chaand main tum mil hi jaoge
Kahan tak hai mohabbat main haqeeqat aazma lenge
Zamaane ko dikha denge ke do DIL kaise milte hain
Is duniya main hum tum doosri duniya basalenge

Facts on honey and cinnamon:


HEART DISEASES:


Take two tablespoons of cinnamon powder and one teaspoon
of honey in a glass of lukewarm water and drink- destroys
the germs in the bladder.

Mari aankhon pe marti thi - poetry

Mari aankhon pe marti thi
Mari baaton pe hansti thi
Najaney larki thi kaisi
Mujhe khoney se darti thi
Mujhe jab be wo milti thi
Yehi har bar kehti thi
Suno!
Agar mein bhol jaon to
Agar mein rooth jaon to
Kabi wapis na aon to
Bhula pao gy ye sab kuch
Yonhi hansty rho gay kya?
Yehi batein hen bas us ki
Yehi yadein hen bas us ki
Muje bas pata hai itna
Muje wo piyar krti thi
Muje khoney se darti thi